barso baad ye dua rang laayi hai,
wo mere kareeb itne kareeb aayi hai..
main ye kaise manloo ke ye meri wafa ka sila hai ,
usne to abtak ki sirf bewafai hai.....
thahar jaa e shaam mere aagan mein aaj,
barso baad to roshni mere dar par aayi hai..
kaise bayan karoo jajbaat apne dil ke,
kahte hue meri aankh bhar aayi hai....
nazar jaati hai janha tak bas wo hi nazar aate hai,
na zaane kyu use ye baat nazar nhi aayi hai..
naksh ubhar aaya mere sahib ka aate hi raat,
kyu khwabo mein bhi mujhe uski yaad aayi hai.